Wednesday, September 18, 2013

Kucch adhure sapne

Apni kahani likhne ko m@n! shabd to bahut mile mujhe,
Bas zazbaato ko kajaz par utarne ka hausla na  mila...

Rishto ki iss duniya mein rishte to bahut mile mujhe,
Bas apna jisse kah saku m@n! ek wo rishta na mila...

m@n! Rahne ko poori kayanat mili mujhe,
Bas sukun k liye ek chota sa ghar na mila...

Duniya ki iss bheed me Dost to bahut mile mujhe,
Bas umar bhar saath chalne wala ek humsafar na mila...

Khushi me jaam pe jaam uthane wale bahut mile mujhe,
Bas gum me rone k liye m@n! koi saath na mila...

Kismat se ladne k liye hausle to bahut mile mujhe,
Bas hausle ko anzaam dene k liye sahi waqt na mila...

Aasman ko chu lene k liye ummide to bahut mile mujhe,
Bas Udd kar Unko chu lene k liye ek pankh na mila...


Sab kuch mila mujhe bas ek jeene ka aasra na mila -m@n!





Friday, August 16, 2013

Yaadein

Aaj fir se Tu yaad aa rahi hai,
soye jajbaton ko kahin fir se jaga rahi hai...

Jin Wadon ko bhulaya tha kabhi na yaad aane k liye,
Rafta-Rafta wo aur bhi kareeb aa rahi hain...

Hai meri Mohabbat kahin aaj v Zinda,
Teri saansen mujhe aaj v mehka rahi hain...

Dhadakta hai  Dil Tujhe Ab v soch k,
Ye hawayein Aaj v mujhe Deewana bana rahi hain...

Tu Mil jaye kabhi to Bataun tujhe,
kis kadar luta hoon tere pyar m dikhaun tujhe...

Tere pyaar ka har shabad jaise mujhe rula rahi hai,
Lamha-Lamha meri jaan nikalti ja rahi hai...

Tera khayal m@n! k dil ko dharka rahi hai
AAJ FIR SE TU YAAD AA RAHI HAI...

Thursday, August 15, 2013

Mere khawab bikhar jane do

Apne ehsas kay sab rang utar jane do,
Meri ummid mere khawab bikhar jane do...

Apne angan main charaghon ko jalao na abhi,
Meri angan main siya raat uttar jane do...

Badi mushkil se mila hai m@n! mere ghar ka pata,
Rassto ab na uljhao muje ghar jane do...

Jin k aane ka bohat shor phaila tha harsoo m@n!,
Inhi lamhon ko chup chap guzar jane do...

Meri barbadi ka ilzam na aye kahin tum par,
Meray halat ko khuch or bigad jane do.


Apne ehsas kay sab rang utar jane do,
Meri ummid mere khawab bikhar jane do...

Wednesday, June 6, 2012

Nayi duniya

Chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se,
Jaha gum k na ho badal,Aur na fikar ki baarish ho waha.
Na apna ho koi na paraya ho,Bas mai aur meri duniya ho waha,
Iss jho0thi duniya mein saare apne bhi paraye hai ab.

chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se...

Yaha har shaq matlabi hai,yaha har koi hai begana,
Koi aise duniya mein le chal,Jaha gum ka na ho thikana.
Yaha har koi bhul chuka hai mujhe banakar ek afsana,
Us nayi duniya mein mujhe dhudhna hai khud k liye ek ashiyana.

chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se...

Ek aise duniya me le chal jaha mein na rahu begana,
Na matlabi ho log waha par na matlabi ho Zaamana,
Yaha zinda hai laashein, murda zameen hai,
Mere jine k kaabil ye duniya nahi hai.

chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se...

Jee kar is duniya mein jee bhar sa gaya hai mera,
Ab to dil mera dhundhta hai marne ka bahana.
Chal aise duniya mein jaha umar bhar saath nibhaye koi mera,
Jaha gum ko chupane k liye yuhi na muskuraye koi.

chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se...

Saturday, May 12, 2012

Tum Bin


Mein saas to ab bhi le raha hu,
Par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".
Meri parchai aaj bhi saath hai mere,
Par zinda kaha hu mai "Tum Bin" .

Dil me dhadkan ki awaaj aaj bhi hai mere,
Par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".
Gum ko ghere andhero me duba raha hu,
par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".

Zindagi mein roshni to aaj bhi hai mere,
Par zinda kaha hu mai "Tum Bin" .
Mere chahne wale aaj bhi saath hai mere,
Par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".

Ab to har fariyaad bhi kabul ho rahe hai mere, 
Par zinda kaha hu mai "Tum Bin".
Ab to Sapne bhi adhure nahi rahe mere,
Par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".


Tum bin Zindgi kuch is tarah suni hai meri, har khushi k baad teri hi talaash hai mujhe!!!

Tuesday, April 3, 2012

Gunaah


Khushiyon se naraz hai meri zindagi,
Rotay the jab tanha koi pass na aya.
Main apna dard kiss ko batata E-dost,
Mere dard ko koi samjh nahi paya.

Paas aa kar sabi door chale gaye,
Hum akele the aur akele he rah gaye.
Dil ka dard tumhe kaise dikhate E-dost,
Marham lagane wale he dard de gaye.

Mehfil main tha to ek kahani suna gaya,
Apne gum ko chupa kar muskura gaya.
Logo ko kaise batata ye baat E-dost,
Aaj dil ka ameer mukadar ka gareeb ho gaya.

Roti hui aakhon me bhi intezar hai uska,
Na chahte hue bhi kyu dil me pyaar hai uska.
Mai apna Gunaah tumhe kaise bayaan karta E-dost,
Jiska mai kabhi ho na saka dil ho gaya uska.

Friday, March 23, 2012

Ye pal laut kar nahi aayega


Khud ko Qaid me rakh kar tumhe kuch na mil paayega,
Azad parindo se milo, wo tumhe naya geet sunayega,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko, ye tumhe dubara nahi mil paayega.


Gum k fasano ko yaad kar tu khud ko hi rulayega,
Aaj jo hai tere pass wo bhi kal tujhse choot jayega isliye,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko, ye tumhe dubara nahi mil paayega.


Aaj ka ye waqt tumhare liye nahi rukh payega,
Beh chalo inke saath, ye tumhe manzil par le jayega,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko, ye tumhe dubara nahi mil paayega.


Jeet lo tum khusiyo ka ye daman kyuki,
Aaj ki ye Khushi kal ek yaad ban kar rah jayega,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko ye tumhe dubara nahi mil paayega.



Jee lo......