Wednesday, June 6, 2012

Nayi duniya

Chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se,
Jaha gum k na ho badal,Aur na fikar ki baarish ho waha.
Na apna ho koi na paraya ho,Bas mai aur meri duniya ho waha,
Iss jho0thi duniya mein saare apne bhi paraye hai ab.

chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se...

Yaha har shaq matlabi hai,yaha har koi hai begana,
Koi aise duniya mein le chal,Jaha gum ka na ho thikana.
Yaha har koi bhul chuka hai mujhe banakar ek afsana,
Us nayi duniya mein mujhe dhudhna hai khud k liye ek ashiyana.

chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se...

Ek aise duniya me le chal jaha mein na rahu begana,
Na matlabi ho log waha par na matlabi ho Zaamana,
Yaha zinda hai laashein, murda zameen hai,
Mere jine k kaabil ye duniya nahi hai.

chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se...

Jee kar is duniya mein jee bhar sa gaya hai mera,
Ab to dil mera dhundhta hai marne ka bahana.
Chal aise duniya mein jaha umar bhar saath nibhaye koi mera,
Jaha gum ko chupane k liye yuhi na muskuraye koi.

chal m@n! kahi door chale is jhooti duniya se...

Saturday, May 12, 2012

Tum Bin


Mein saas to ab bhi le raha hu,
Par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".
Meri parchai aaj bhi saath hai mere,
Par zinda kaha hu mai "Tum Bin" .

Dil me dhadkan ki awaaj aaj bhi hai mere,
Par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".
Gum ko ghere andhero me duba raha hu,
par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".

Zindagi mein roshni to aaj bhi hai mere,
Par zinda kaha hu mai "Tum Bin" .
Mere chahne wale aaj bhi saath hai mere,
Par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".

Ab to har fariyaad bhi kabul ho rahe hai mere, 
Par zinda kaha hu mai "Tum Bin".
Ab to Sapne bhi adhure nahi rahe mere,
Par zinda kaha hu  mai "Tum Bin".


Tum bin Zindgi kuch is tarah suni hai meri, har khushi k baad teri hi talaash hai mujhe!!!

Tuesday, April 3, 2012

Gunaah


Khushiyon se naraz hai meri zindagi,
Rotay the jab tanha koi pass na aya.
Main apna dard kiss ko batata E-dost,
Mere dard ko koi samjh nahi paya.

Paas aa kar sabi door chale gaye,
Hum akele the aur akele he rah gaye.
Dil ka dard tumhe kaise dikhate E-dost,
Marham lagane wale he dard de gaye.

Mehfil main tha to ek kahani suna gaya,
Apne gum ko chupa kar muskura gaya.
Logo ko kaise batata ye baat E-dost,
Aaj dil ka ameer mukadar ka gareeb ho gaya.

Roti hui aakhon me bhi intezar hai uska,
Na chahte hue bhi kyu dil me pyaar hai uska.
Mai apna Gunaah tumhe kaise bayaan karta E-dost,
Jiska mai kabhi ho na saka dil ho gaya uska.

Friday, March 23, 2012

Ye pal laut kar nahi aayega


Khud ko Qaid me rakh kar tumhe kuch na mil paayega,
Azad parindo se milo, wo tumhe naya geet sunayega,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko, ye tumhe dubara nahi mil paayega.


Gum k fasano ko yaad kar tu khud ko hi rulayega,
Aaj jo hai tere pass wo bhi kal tujhse choot jayega isliye,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko, ye tumhe dubara nahi mil paayega.


Aaj ka ye waqt tumhare liye nahi rukh payega,
Beh chalo inke saath, ye tumhe manzil par le jayega,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko, ye tumhe dubara nahi mil paayega.


Jeet lo tum khusiyo ka ye daman kyuki,
Aaj ki ye Khushi kal ek yaad ban kar rah jayega,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko ye tumhe dubara nahi mil paayega.



Jee lo......

Wednesday, March 21, 2012

Mujhe meri chahato ka aasman de do....



Doobti meri kashti ko ek kinara de do,
Mujhe meri khushiyon ka ek paimana de do.

Mere aangan mein andhera hai bahut,
Mujhe meri jindgi ka ek ujala de do.

Meri aankhon mein nami hai,
Mujhe meri palkon ki jhilmilahat de do.

Main bahut dino se udaas hoon,
Phir se aakar apne daman ka ek sitara de do.

Mai jindgi k safar mein tanha khara hoon,
Phir se mujhe tum jeene ka ek sahara de do.



Mujhe meri chahato ka aasman de do....

Monday, March 5, 2012

Anjaam


Khawabo me aakar tu mujhe chupke se rulata chala gaya,
Dard to bahut tha, sirf duniya se isse begana banata chala gaya.

Apne har gum ko mai khud k andar dafnata chala gaya,
Teri har kahi baat ko, apni yaado me chupata chala gaya.

Mera dard mujhe aaj dekh kar mujhpar muskurata chala gaya,
Puchta hai kyu khud ko kise k liye tu fanaa karta chala gaya.

Is pagal ko kaise samjhau k isme bhi mujhe maja aata chala gaya,
Uski har berukhi meri mohabaat ko ek naya anjaam deta chala gaya.



Apni har khushi tere naam karta chala gaya........

Thursday, March 1, 2012

Dil ki zubaan


Kuch kwaahise meri adhuri si rah gayi hai,
Kuch sapne mere toot kar bikhar gaye hai,


Naa jaane aise kya baat, uske sapno me hai,
Uske sapne meri ghazlon ko kabhi pura nahi hone deti hai.


Zubaan Keh Nahi Sakte Jo Fasana Dil Ka kabhi,
Kaash Ghazale Vo Baat kah Jaye tumhe kabhi.


Dil ki zubaan ko gazalon me pirota chala gya,
Khud ko kaise karu bayaan, 
kyu mai itna kamjoor hota chala gaya.

Sunday, February 26, 2012

Dosti


       Kuch dost mile jo ajnabee se ho gaye,
       kuch dost mile jo dil k bahut kareeb ho gaye.
           
       Sab ek ummid k saath yaha aaye the,
       Sab ek naye sapne k saath kal yaha se chale jayenge.
  
       Har ek k saath gujara lamha mujhe yaad aayega,
       Har ek ka pyaar mujhe kal bahut rulayega.
     
       Wada hai mera tum sab se,kal hum jab bhi milege,
       Isse tarah ek dusre ko hasayenge aur thoda rulayenge.
 

       Keep in touch Love u all  <3 <3 <3
   

Thursday, February 23, 2012

Shikayat


       Tum mujhe pyaar karo na karo,
       Tumse kabhi shikayat nahi karunga. 
       
       Apni chahat ka iqraar karo na karo,
       Tumse kabhi shikayat nahi karunga.
          
       Aaj koi aur tumhare dil ko bha gaya,Ye bayaan karo na karo,
       Tumse kabhi shikayat nahi karunga.
         
       Tum mujhe kabhi yaad karo na karo,
       Tumse kabhi shikayat nahi karunga.
     
       Bas meri chahat ko yu sar-e-aam badnaam na karo,
       Is baat ki guzaarish tumse har baar karunga.

      Plzzz :'(  
     

Tuesday, February 21, 2012

Uljhan


Is qadar ehsason ki shama jalti rahi,
Ki saari raat teri  yaad mein, dhalti rahi.
Rat bhar behta raha soch ke sagar mein tu,
Aur koi hasrat si jaise dil mein, palti rahi.
Is qadar thak si gayi aankhein intzaar mein,
Ki kabhi badh hui, aur kabhu khulti rahi.
Mana tere aana ka wada nahi tha, phir kyu,
Aahat aahat pe ye dhadkane , machalti rahi.
Ye kaisi raah pe lake kahada kar diya tune,
Ki saath uljahn thi, aur uljhan hi chalti rahi.

Saturday, January 28, 2012

Adhure Sapne


Kal mai phir se laut kar aaunga,
Apne saare adhure sapne ko pura kar jaunga.

Aaj waqt hi kuch aisa hai,
Apni kahani tumhe phir kabhi bataunga.

Abhi dard hai kuch ankhaee si,
Kal waqt mile to,tumhe jarur sunaunga.

Mere dost kahte hai, tu nek insaan hai,
Kyu kahte hai aisa,puch kar tumhe jarur bataunga.

Kal jab saare sapne mere pure ho jayenga,
Apni har ek baat, tumhe jarur bataunga.

Phir se laut kar aaunga.....