Friday, March 23, 2012

Ye pal laut kar nahi aayega


Khud ko Qaid me rakh kar tumhe kuch na mil paayega,
Azad parindo se milo, wo tumhe naya geet sunayega,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko, ye tumhe dubara nahi mil paayega.


Gum k fasano ko yaad kar tu khud ko hi rulayega,
Aaj jo hai tere pass wo bhi kal tujhse choot jayega isliye,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko, ye tumhe dubara nahi mil paayega.


Aaj ka ye waqt tumhare liye nahi rukh payega,
Beh chalo inke saath, ye tumhe manzil par le jayega,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko, ye tumhe dubara nahi mil paayega.


Jeet lo tum khusiyo ka ye daman kyuki,
Aaj ki ye Khushi kal ek yaad ban kar rah jayega,
Jee lo iss pal ko, ye pal laut kar nahi aayega,
Jee lo iss lamhe ko ye tumhe dubara nahi mil paayega.



Jee lo......

Wednesday, March 21, 2012

Mujhe meri chahato ka aasman de do....



Doobti meri kashti ko ek kinara de do,
Mujhe meri khushiyon ka ek paimana de do.

Mere aangan mein andhera hai bahut,
Mujhe meri jindgi ka ek ujala de do.

Meri aankhon mein nami hai,
Mujhe meri palkon ki jhilmilahat de do.

Main bahut dino se udaas hoon,
Phir se aakar apne daman ka ek sitara de do.

Mai jindgi k safar mein tanha khara hoon,
Phir se mujhe tum jeene ka ek sahara de do.



Mujhe meri chahato ka aasman de do....

Monday, March 5, 2012

Anjaam


Khawabo me aakar tu mujhe chupke se rulata chala gaya,
Dard to bahut tha, sirf duniya se isse begana banata chala gaya.

Apne har gum ko mai khud k andar dafnata chala gaya,
Teri har kahi baat ko, apni yaado me chupata chala gaya.

Mera dard mujhe aaj dekh kar mujhpar muskurata chala gaya,
Puchta hai kyu khud ko kise k liye tu fanaa karta chala gaya.

Is pagal ko kaise samjhau k isme bhi mujhe maja aata chala gaya,
Uski har berukhi meri mohabaat ko ek naya anjaam deta chala gaya.



Apni har khushi tere naam karta chala gaya........

Thursday, March 1, 2012

Dil ki zubaan


Kuch kwaahise meri adhuri si rah gayi hai,
Kuch sapne mere toot kar bikhar gaye hai,


Naa jaane aise kya baat, uske sapno me hai,
Uske sapne meri ghazlon ko kabhi pura nahi hone deti hai.


Zubaan Keh Nahi Sakte Jo Fasana Dil Ka kabhi,
Kaash Ghazale Vo Baat kah Jaye tumhe kabhi.


Dil ki zubaan ko gazalon me pirota chala gya,
Khud ko kaise karu bayaan, 
kyu mai itna kamjoor hota chala gaya.